Six kalmas Of Islam
Six kalmas Of Islam .The 6 (six) Kalimas are present in various books of knowledge, and are recited and remembered by people across the globe and specially in Muslim countries. These kalimas were compiled together for elders children & old people to memories and learn the basi
Listed below are the 6 well known Kalimas of Islam .
1 Kalima
The above written kalima is 1 kalima of Islam (Kalima Tauheed ) . It is base of islam Muslim should read daily . “Allah ky siwa koi mabood nahi Muhammad (S.A.W ) Allah ke rasool hain”
2 Kalima
“Main gawahi deta hoon ke Allah ke siwa koi mabood nahi wo akela hai is ka koi shareek nahi aur main gawahi deta hon Muhammad (S.A.W ) Allah ke banday aur rasool hain”
3 kalma
“Pak hai Allah aur tamam tareefain Allah ke liay hain Allah ke siwa koi mabood nahi aur Allah sab se barra hai .Gunahon se bachnay ki takat aur naiki karny ki kuwat Allah hi ki taraf se hai jo alli shan aur azmat wala hai”
4 kalma
“Allah ke siwa koi mabood nahi wo akela hai . Is ka koi shareek nahi isi ki badshahi hai aur isi ke liay tamam tareef hai .Wo zinda karta hai aur wohi marta hai aur wohi hamesha ke liay zinda hai jo mary ga nahi azmat aur buzurgi wala hai bahtari isi ky hath main hai aur wo har cheez par qadir hai” .
5 kalma
“Main Allah se mafi mangata hun jo mera parwardigar hai .Har gunah se jo main ne jan bhoj kr kia ya bhol chup kr kia aur main Allah ki bargah main touba karta hun us gunnah se jis ko main janta hun aur us gunah se jis ko main nahi janta .Be shak to gheb ka jannany wala aur aebon ko chupany wala aur gunahon ko bakhshany wala hai .Aur gunahon se bachnay ki taqat aur naiki karnay ki taufeeq nahi magar Allah ki madad se jo bohat buland azmat wala hai.”
6 kalma
” Illahi main tere panah mangta hun is baat se ke main kisi cheez ko tera shareek banaon aur mujhay is ka ilm ho . Aur main mafi mangta hun tujh se is gunah se jis ka mujhay ilm nahi . Main ne is se tauba ki aur bezar hua kufar se shirk se aur jhoot se aur ghebat se aur bidaat se aur chugli se aur be-hayai ke kamon se aur tohmat laganay se aur baqi har qism ki nafarmanion se aur main kahta hun Allah ke siwa koi mabood nahi aur Muhammad (S.A.W) Allah ke rasool hain.”